Tuesday, May 19, 2009

:)--original/RDB version/Gulaal version

From: Aparajita Tripathi
Sent: Tuesday, May 19, 2009 14:06
To: Shrikant Sundaram
Subject: :)--original/RDB version/Gulaal version


Here are the three versions of it:

Original. RDB, Gulaal.
Here is the wiki link:
http://en.wikipedia.org/wiki/Sarfaroshi_ki_Tamanna

Original:

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Aye watan, Karta nahin kyun doosra kuch baat-cheet
Dekhta hun main jise who chup teri mehfil mein hai
Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar
Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Waqt aanay dey bata denge tujhe aye aasman
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai
Khainch kar layee hai sab ko qatl hone ki ummeed
Aashiqon ka aaj jumghat koocha-e-qaatil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar
Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar
Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se
Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se
Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe kafan
Jaan hatheli par liye lo barh chale hain ye qadam
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Yuun khadaa maqtal mein qaatil kah rahaa hai baar baar'
Kya tamannaa-e-shahaadat bhi kisee ke dil mein hai
Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inqilaab
Hosh dushman ke udaa denge humein roko na aaj
Duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Wo jism bhi kya jism hai jismein na ho khoon-e-junoon
Toofaanon se kya lade jo kashti-e-saahil mein hai

Chup khade hain aaj saare bhai mere khaamosh hain
Na karo to kuchh kaho mazhab mera mushkil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai.

RDB version

hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar
aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar
khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai


haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se
sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se
haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se
sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se
aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai


hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe qafan
chaahatein liin bhar liye lo bhar chale hain ye qadam
zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai


dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inquilaab
hosh dushman ke udaa denge humein roko na aa
duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai - 2

Gulaal version

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai
Dekhna hai zor kitna bazu-e-kaatil me hai
Waqt aane pe bataadenge tujhe e aasmaan
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil me hai

Oh re Bismil kaash aate aaj tum Hindustaan
Dekhte ki mulk saara kya tashan, kya chill mein hai
Aaj ka launda yeh kehta hum to bismil thak gaye
Apni aazaadi to bhaiya laundiya ke til mein hai.

Aaj ke jalson me Bismil ek gunga gaa raha.
Aur behron ka wo rela naachta mehfil mein hai
Haath ki khadi banaane ka zamaana lag gaya
Aaj to chaddi bhi silti englison ki mill mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai…
….kya batayen kya hamare dil me hai

No comments: